Jiyo to aise jiyo
- Imran Mehdi (2013)
Husainiyo..Husainiyo..(4)
Suno husainiyo suno..(2)
Tumhi se ye khitaab hai..(2)
Ye fikr-e-BuTuraab(as) hai..(2)
Jo zulm par khamosh ho..
To zindagi azaab hai..(2)
Chalo Husain(as) tak chalo
Husain(as) hi bataaenge..
Ye zindagi ka falsafa
Husain(as) hi sikhaaenge..
Husain(as) hi sikhaaenge ye zindagi ka falsafa
Husain(as) to bata chuke hain zindagi ka falsafa
Bani hui hai Karbala abhi bhi haq ki rehnuma
Abhi bhi haq ki rehnuma
Banaao Karbala ko sar ka taaj ay Husainiyo..
Jahaa'n mein hoga phir tumhara raaj ay Husainiyo..
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..
Haa'n tumhi Husaini ho..(2)
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..
Haa'n tumhi Husaini ho..(2)
1) Jiyo to aise k Meesam ki fikr chha jaaye
Tumhare daur ka marhab bhi tumse ghabraaye
Yazid(la)-e-waqt tumhare qadam mein aa jaaye
Jo maut aaye tumhari taraf to tharraaye
Yazid(la)-e-nau hain jo aewaan unke dhaane hain
Har ek samt alam Shaah(as) k lagaane hain
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2)
2) Jahaa'n mein ab bhi hai hal-min ki ik sada sun lo
Dar-e-Husain(as) se waabasta hai baqa sun lo
Azaa-e-Sheh(as) pe to Zehra(sa) ki hai dua sun lo
Na hogi ye to dam-e-hashr bhi fanaa sun lo
Shahadate'in to hain wirsa naa inse ghabraao
Gharo'n se sar pe kafan baandh kar nikal jaao
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2)
3) Janaab-e-Meesam-o-Qambar k hum khayaal bano
Zameer-o-zarf mein Buzar ki tum misaal bano
Misaal-e-Hazrat-e-Salman baakamaal bano
Husainiyat pe bahattar k jaisi dhaal bano
Shaoor-o-aagahi irfaan ka khayaal karo
Tum apne ilm se zulmat ka ab qitaal karo
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2)
4) Ho nasl-e-nau mein bhi ab fikr muntaqil aise
Namaaz wajhd mein padhte the Murtaza(as) jaise
Ki raah-e-shaam mein sajjad(as) ne azaa waise
Bhala namaaz-o-azaa ho gayi juda kaise
Ibaadato'n k taqaabul ko dur karna hai
Haa'n nasl-e-nau ko tumhe baa shaoor karna hai
Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2)
5) Siraat-e-haq pe hai chalna Husain(as) ko samjho
Chalo k maqtal-e-ibn-e-Ali(as) zara dekho
Husain(as) Noor-e-Kibriya
Husain(as) Husn-e-Mustafa(saww)
Husain(as) Aks-e-Murtaza(as)
Husain(as) Qalb-e-Fatema(sa)
Hasan(as) k dil ka chain hai
Husain(as) hi Husain(as) hai..(5)
6) Meyaan-e-Karbala khula
Husain(as) fajr ki baqa
Husain(as) zohr ki jila
Husain(as) asr ki nidaa
Allah-o-Akbar..(2)
Ye rooh-e-maghrebain hai..(2)
Husain(as) hi Husain(as) hai..(4)
7) Hai teen(3) din ka wo pyaasa meyaan-e-Karbobala
Na bhai bete bhatija koi bhi ab na raha
Haa'n baal khole hain maqtal mein Fatema Zehra(sa)
Hai shimr(la) haath mein khanjar liye hue badhta
Husain(as) sajda-e-Khaaliq mein sar kataate hain
Khuda ka deen shariyat bachaaye jaate hain
8) Khuda ka deen bhi mamnoon ho gaya tera
Husainiyat k sabab deen-e-Kibriya hai bacha
Yehi to fakhr hai "Salman Azmi" apna
Husainiyat se hi "Imran" hai juda rishta
Husainiyat to jahaa'n se na mit sakegi kabhi
Duaa-e-Fatema Zehra(sa) hai saayebaa'n apni
..............Shukr-e-Maula(as)..............