Chalo chalo

- Ali Safdar (2013)


chalo chalo ..(8)
chalo chalo mere hamraah karbala ko chalo, karbala ko chalo..(2)

1. Alam uthao karo mish'ale wafa roshan
sunao mimbare haq se payambaro ka sukhan
baya karo to karo seerate husain o hasan
utho utho to sahi baandh kar saro se kafan

2. Tumhe talash agar hai khudae bartar ki
hai justujoo agar allah ki payambar ki
suno bagoshe dil aakar azaan akbar ki
mushahida to karo tum namaz sarwar ki

3. Jo ma'refat tumhe darkaar hai payambar ki
daleel e khatm e nabuwat hai zaat sarwar ki
gawahi chahiye tumko jo wahiye daawar ki
gawahiya tumhe mil jaegi bahattar ki

4. Husain kar gae sab haq ada imamat ke
takaze kargae poore wo sab mashiyat ke
dikha gae hame raste har ek sa'adat ke
hamare waste khole hai darr shafa'at ke

5. Namoode jalwae haq ab ye zebo zain karo
bapa husain ki majlis bashoro shain karo
zamana sota hai ghaflat ki neend bain karo
alam ko thaam ke sab bay'ate husain karo

6. Har ek ma'refate haq se pur safine se
har ek kitaab se har ek harf har qaline se
har ek dil se har ek noor baar seene se
yahi nida hai palan aaj bhi madine se

7. Mere husain zamana udaas tujh bin hai
feza me aaj bhi zinda sadae halmin hai
ye isteghasae shabbir hai wo kamsin hai
are ye aaj bhi ashoor hi ka to din hai

8. Bayaa aqeel jo karte hai barsare mimbar
suna rahe hai wo paighaam e haq tumhe safdar
dilo me jazbae haq haath me alam lekar
baland karte hue naam e naam e haq baqarro par

chalo chalo mere hamraah karbala ko chalo
chalo chalo mere hamraah karbala ko chalo, karbala ko chalo..(2)