ay matami jawano

- Ali Safdar (2013)


hayya ala khairil a'mal..(4)

ya husain ya husain..(4)

ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)
Halmin ki sada aati hai labbaik pukaro
labbaik ya husain..(4)

ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

1. Ye matami daste nahi lashkar hai khuda ka
nauhe ki sada deen se ailaan bapa ka
zehra ki dua hai rahe safdar ke dularo
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

2. Bichta hai jaha farshe aza e ghame shabbir
aankho me liye ashk chale aate hai dilgeer
kehte hai masaeb me bhi himmat nahi haaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

3. Bhoolenge bhala kaise azane ali akbar
zainab ne kaha tha ye azaa sunke tadapkar
hamshakle payambar ka koi sadqa utaaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

4. Matam ke liye haath jo uthte hai tumhare
chehro pe yazeedo ke baraste hai tamache
naubat me husaini ki tumhi chaand sitaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

5.Aajae agar kaan me takbeer ki aawaaz
dete hai gawahi ke hai shabbir ki aawaaz
tum shaane ibadat bhi ho maula ke azadaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

6. Duniya me bhala hogi kaha aisi ibadat
matam ke julooso me namazo ki hifazat
sajjad pukar uthe tumhi ho mere pyaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)

7. Matam bhi karo aur namazo se bhi hushiyar
ye sunnate zainab hai yehi sunnate beemar
is majliso matam se zafar deen bhi sanwaro
ay matami jawano, ay sajda guzaro..(2)