Sham e ghariban
- Ali Safdar (2013)
khaimo ki raakh udti hai muztar hai bibiyan
sholo ke darmiya hai ghira ek naatawan
milti nahi hai ehle haram ko kahi amaan
zainab ke lab pe bus hai sada haay bhaijan..(2)
kese karu mai sham e ghariban ke gham bayaan
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
1. Farzand e fatima ka zamee par kata hai sar
laaya hai zuljanah ye rote hue khabar
khaime jalane aagai hai fauje badsiyar
aisa luta ke fir na basa fatema ka ghar
faila hai dasht e zulm me charo taraf dhua
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
2. Jo shere haq ka sher tha sahil pe mar gaya
ehle haram pe zulm ka aghaaz hogaya
khoone sagheer chehrae shabbir dho gaya
asghar nikal ke jhoole se maqtal me kho gaya
dhundhe rabab ab tumhe asghar kahan kahan?
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
3. Bistar me aag abid e muztar ke lag gai
zainab ke sar pe chadar e zahra nahi rahi
baali sakina bangai tasweer dard ki
binte abu turab ki ye haay bebasi
ansu lahu ke roti hai maqtal me ek maa
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
4. aai hai aisi shame ghariban zameen par
bache panaah dhundh rahe hai idhar udhar
dil muztarib hai dard se larzeeda hai nazar
loota hai ehle zulm ne binte nabi ka ghar
aflaak sun rahe hai sakina ki hichkiya
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
5. Ashre ka din tamaam hua raat aagai
kitne hi chaand taare zamee aaj khagai
uthta hai dil me dard ghata gham ki cha gai
kitne diye hawae sitam tu bujha gai
phaili hui hai charo taraf haul nakiya
sham e ghariban sham e ghariban..(4)
6. Kab tak rahega aur ghamo dard ka bayaan
safdar bapa hai shore fugha rok le zaba
nauhe pe tere rote hai sab tifl aur jawa
tune bayaan kar diya jab gham ki daastan
aasi tere gunaah hue hai dhua dhua
sham e ghariban sham e ghariban..(4)