Abbas beta marhaba

- Shadman Raza (2014)


abbas ya abbas..(4)
ya abbas ya abbas ya abbas

kehti hai rann me, kehti hai rann me fatima
abbas beta marhaba..(3)

1. Tu ishq ki meraaj hai..(2)
sar par wafa ka taaj hai..(2)
sabit ye tune kar diya
darya pe tera raaj hai
chullu me leli..(2) alqama
abbas beta marhaba..(3)

2. Aale nabi ki aas hai..(2)
imraan ka aqqaas hai..(2)
teri talab darya nahi
darya ko teri pyaas hai
saqqa hai aale..(2) mustafa
abbas beta marhaba..(3)

3. Tujhse zabar bhi zer hai..(2)
tashna labi se ser hai..(2)
haibat hai shero par teri
tu shere haq ka sher hai
shamsheer e shah..(2) karbala
abbas beta marhaba..(3)

4. Ajdaad ki pehchaan hai..(2)
binte ali ka maan hai..(2)
bachpan se lekar aajtak
shabbir par qurbaan hai
qurbaan tujhpar hai..(2) wafa

5. Tere shano pe qurbaan jau
aaja seene se apne lagau
tujhko shabbir jaisa samajhkar
apne hatho se pani pilau
darya se pyasa aagaya
abbas beta marhaba..(3)

6. Tha ye mehzar me abbas likha
tashnalab hi rahegi sakina
gham na kar mashk gar chid gai hai
tujhse raazi hai shahe madina
tune ada haq kar diya
abbas beta marhaba..(3)

7.Jo mahafiz the ale nabi ke
kat gae haay bazu wo tere
aaj se hashr tak dee ka parcham
tu uthaega bin bazuo ke
ab ye alam..(2) tera hua
abbas beta marhaba..(3)

8. Jo takallum hai eemaan tera
shadmaa ka wohi hai aqeeda
roza e ibne shere khuda par
dil ye kehta hai ehle aza ka
ek maa ki aati hai sada
abbas beta marhaba..(3)