Kullo na abbas

- Shadman Raza (2014)


ya zainab ya zainab ya zainab..(4)

kullo na abbasuk ya zainab
ya zainab ya zainab ya zainab

hum tere abbas hai ya zainab
ya zainab ya zainab ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

1. Aaj yazeedi mar jaega
aaj husaini jitega
aapke roze ki hurmat par
baccha baccha jaan dega
roze pe aenge jaane lutaenge..(2)
roza bachaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

2. Bibi aapki azmat hai ye
farshe aza ki hai bani
mashke sakina ke bharne ko
lae sabilo me pani
majlis me aenge saqqa banjaenge..(2)
pani pilaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

3. Behno ki izzat ka hawala
ye rakhwale hai bhai
shehro galiyo me nahi hogi
beparda koi bibi
rasta banaenge himmat bandhaenge..(2)
parda bachaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

4. Bibi aapki majlis hogi
ehed na apna todenge
kitni bhi pabandi hogi
hum na ziyarat chodenge
himmat dikhaenge, durre bhi khaenge..(2)
bazu kataenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

5. Saari qaume miljaengi
qayam aisi hogi reet
rehbare haq eeraan rahega
hizbullah ki hogi jeet
zulmat mitaenge shamme jalaenge..(2)
haq sach dikhaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

6. Aaj bhi ehle aza ko hai milte
roz hi beto ke laashe
auno mohd ka sadqa hai
bibi ye mere bacche
majlis karaenge aansu bahaenge..(2)
laashe uthaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

7. Qabr e sakina zindaa me hai
chayn se kab ye soti hai
kano se khoo abhi behta hai
abhi sakina roti hai
mehdi jab aenge talwaar laenge..(2)
qaidi chhudaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

8. Bibi saamne hi baitha hai
akbar aapke roze ke
chaaro taraf firta rehta hai
asghar aapke roze ke
bhai bhi aaenge budhe bhi aenge
bacche bhi aaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)

9. Aisa qamar lagta hai ke ghaibi
haath hamare haath me hai
abhi alam uth te hai aise
daste burida haath me hai
hum zakhm khaenge, marte bhi jaenge..(2)
parcham uthaenge ya zainab
kullo na abbasuk ya zainab..(2)