Aap ne hazrat e mukhtaar

- Shadman Raza (2014)


Haay..
Jab koi qatile shabbir giraftaar hua
ye khabar sunke koi khidmate maula me gaya
ashk barsate hue abid e muztar ne kaha
tune badla liya mukhtaar hai ehsaa tera
qalbe zehra ke har ek zakhm pe marham rakha
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(4)

1. Aap ke hausle kar dete hai qaumo ko jawaa..(2)
aap ke khoon me haider ki mohabbat thi rawaa..(2)
aap ke hubb me imraan ka jazba tha ayaa
aapke josh pe nazaa hai bohot karbobala
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

2. Aag jo dil me hai us aag ka darya kya hai..(2)
ek maula ke azadaar ka jazba kya hai..(2)
inteqam e ali asghar ka takazaa kya hai
aap ke khoon me tha josh abu talib ka
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

3. Aap ko aal e payambar ka tha kitna ehsaas..(2)
bhool paye na kabhi aap sakina ki pyaas..(2)
pani pite hue thi ek sada ya abbas
aap ne daste burida ka liya tha badla
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

4. Rajat e jism e murattab hai wo manzar kya hai..(2)
hujjat e asr ki azmat ka samandar kya hai..(2)
jiske lashkar me ali honge wo lashkar kya hai
wo sadi aaegi mukhtaar the jiska lamha
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

5. Zulm ke daur me mazloom ki taqat mukhtaar..(2)
jabr ke saamne inkaar ki himmat mukhtaar..(2)
hashr tak dil pe yazido ke hai haibat mukhtaar
aap ne laakho jigar chaak kiye hai tanha
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

6. Roz hote hai yaha kitne azadar shaheed..(2)
faisla karliya ab zulm nahi sehne mazeed..(2)
kaat kar rakhdo azadaar zara nasle yazeed
aapke josh se milta hai hame bhi jazba
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

7. Ye to Allah ki nemat hai shahadat lelo..(2)
ashk e shabbir se talwaar ki taqat lelo..(2)
mat daro hazrat e mukhtaar se himmat lelo
daad deti hai inhe roohe shahe karbobala
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

8. Baqi rehta hai abhi jauro jafa ka badla..(2)
nauke naiza se chini ek rida ka badla..(2)
apni had me jo liya karbobala ka badla
inteqam asl me baqi hai abhi waris ka
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)

9. Ae qamar sog badha chayn dilo ne paya..(2)
saamne aap ke jis dum sare hurmal aaya..(2)
zere lab jis tarah sajjad ne wo farmaya
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya
aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)