Ek satai hui bacchi

- Ali Safdar (2014)


haay haay haay..(2)
so rahi hai yaha par sakina
ay parindo yaha se na guzro

ek satai hui bachi ko sataya na karo
ae parindo dare zindaan se guzra na karo

1. Jab se choota hai yatima se padar ka seena
raat ko uthke kaha karti hai baba baba
ab to dekha nahi jata hai tadapna iska
kistarha mai ye kahu isse ke roya na karo

2. Tum to azaad fazao ke musafir thehre
shaam hote hi pohoch jaoge tum ghar apne
dard kya samjoge tum log jila watno ke
zakhm jo sukh gae hai unhe taaza na karo

3. Asr e aashoor se rehti hai ye sehmi sehmi
aaj tak bujh na saki tashna dahani iski
kal thi shehzadi magar aaj hai ek faryadi
ghumzada pehle se hai ghum me izafa na karo

4. Badi mushkil se sulaya hai tasalli dekar
jane kab hoga mayassar ise yasrab ka safar
hoga ehsaan tumhara ye dile muztar par
isko ehsaas aseeri ka dilaya na karo

5. Qaid khane me thi shamshaad ye zainab ki fugha
baap ki yaad me bechain sakina hai yahan
iski ankho me hai pehle se hi ashre ka sama
aur gardish me yatima ka sitara na karo

(so rahi hai yaha par sakina
ay parindo yaha se na guzro)..(2)