Shabbir ki khatir jeena hai

- Ali Safdar (2014)


zinda hai zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai
zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai
zinda hai zinda hai fir shauk e ibadat zinda hai
shahadat shahadat, sa'adat sa'adat
zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

hum qatl hue har hamle par
seeno me hararat sehna hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

1. Shabbir ke khatir marne par kyu duniya maare deti hai
eemaan ke seene me khanjar zulmat ke utaare deti hai
har gaam musibat dhati hai, har gaam hasare karti hai
is gham ki feza me charo taraf nafrat bhi ubhare deti hai
kya nasle umayya ke dil me abhi wo shakawat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

2. Hum farshe aza par baithe hai ye farsh hamari dharti hai
shabbir ke matamdaro par duniya ye sitam kyu karti hai
ye qaum to hai islam ka par qur'an hadaf ye padti hai
ye fikr e husaini jurm hai kya jo isse ye duniya darti hai
hum aal e nabi ke shedayi humme ye riwayat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

3. Ye qaum jo matam karti hai ye matam hai dildaro ka
ye qaum jo rona karti hai ye rona hai ghumkhwaro ka
kamzor na samjhe koi ise, ye lashkar hai jarraro ka
jo karbobala se rishta hai wo rishta hai talwaro ka
is aag ugalte maqtal me ye qaum ye millat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

4. Jin logo ke ghar ujde hai wo un khaimo ko yaad kare
zakhmi jo hue hai maqtal me wo un zakhmo ko yaad kare
maqtool hue jinke bacche wo un baccho ko yaad kare
jin mao ke bete na rahe wo un beto ko yaad kare
us gham ke tasawwur se logo mazloom ki hurmat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

5. Har saal aza ye hoti hai har saal moharram aata hai
akbar ki azaan ka lehja bhi fir rasme dua ban jata hai
abbas ka ye rangeen alam har gaam yuhi lehrata hai
marte hai kaha ye ehle wafa fir waqt unhe dohrata hai
akbar ki jawani qayam hai abbas ki seerat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

6. Jis ka ye juloos e matam hai kya uska hasham ruk jaega
shabbir ke matamdaro ka badhta ye qadam ruk jaega
jiski ye sabile baqi hai wo behre karam ruk jaega
kya dehshat ke is maqtal me haadi ka alam ruk jaega
jo noke sina par roshan hai wo tarz e qayadat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

7. Hum apni musibat me maula kab aapke ghum ko bhool gae
sab ranjo sitam hai yaad hame apne pe sitam ko bhool gae
talwar bhi hai zadd par lekin kab ehle haram ko bhool gae
hai mashke sakina yaad hame kab deedae nam ko bhool gae
is maut ke larza khezi me shabbir ki nusrat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

8. Maula ke hilaal humlogo par ye waqt bohot hi bhari hai
jo maare gae un logo par ek sog hai aaho zaari hai
is sog me lekin karbobala ehsaas me apne taari hai
shabbir ka nauha baqi hai shabbir ka matam jaari hai
safdar ki zaba par hai nauha ab taba qayamat zinda hai
fir shauk e shahadat zinda hai
(shabbir ki khatir jeena hai
shabbir ki khatir marna hai)..(2)

zinda hai zinda hai zinda hai