Ya habibi ya husain

- Ali Safdar (2014)


ya habibi ya husain, noorul aini ya husain
[ya habibi, ya habibi ya husain
noorul aini, noorul aini ya husain]..(2)

Noorul aini ya husain..(2)
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

1. Kab ho ziyarat aapki maula dekhi lakeere hatho me
din me tadapta rehta hu mai sota nahi hu raato me
maula aapki baate ki hai maula apni baato me
saans hai kehti maula haider dil hai kehta..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

2. Kok jali maa kehti hai ye ehle azaa se hai mujhko aas
mera laal hai abhi tanha bujhti nahi hai iski pyaas
jo bhi ziyarat karlo jaana mere pyaase husain ke paas
raahe najaf aur raahe khorasan raahe madina..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

3. Aao chale pursa dene ko dilwale ye kehte hai
qarb e husain jo zehn me aae khoon ke aasu behte hai
dil me ziyarat lab pe ziyarat aankh me maula rehte hai
ashura ho karbobala me aaya hai jazba..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

4. Jinno malak aur hoor o qudsi saare wali aur khud haider
roza e sheh par aajate hai saare imam aur paighambar
roz imam e asr hai aate pursa leti hai maadar
roza e sheh par majlis dekho, matam o girya..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

5. Maa pehle se zamee par baithi ghode se girta hai husain
garm zamee par ediya ragdi tadpa maa ke dil ka chayn
khushk gala khanjar se hai kat ta aur hai uth ta shoro shain
akhri saans hai, akhri lamha, akhri sajda..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

6. Dil me ziyarat ki khwahish hai aane se mazoor hu mai
apne gunaho ki kasrat se aap se kitna door hu mai
aai sada jab maine kaha hai maula ab majboor hu mai
ghar baithe tum padhlo ziyarat, padhlo nauha..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)

7. Takfeeri zalim ki himayat karte nahi hai ehle azaa
lashkar kitne hi aajae darte nahi hai ehle azaa
zibha qamar karte hai yazidi darte nahi hai ehle azaa
gardan katgai fir bhi hai zinda, khoon hai kehta..
Ya husain Ya husain Ya husain
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)