Abhi tak shaam ke zindaan
- Shadman Raza (2014)
haay..
janaza jiska chhupaye the shab ki tareeki
damishq me ye usi fatima ki hai beti
na kal to shaam me parda bacha saka tha koi
dukhi husain ki maa keh rahi hai ya mehdi
dua ko haath uthae hai maadar e zainab
bachae roze ko roza hai chadar e zainab
saro ko dhaanp kar aao..(2)
tumhe zainab bulati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
1. Batate hai ye raste jo abhi tak khoo me doobe hai
yaha se sayyad e sajjad zanjeero me guzre hai
tamacho se sakina ko kabhi zainab bachati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
2. Kahi durro ki barish hai kahi hai maarte pathar
zami kyu phat nahi jati tamashe ko khule hai ghar
kabhi baalo se zainab apne chehre ko chupati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
3. Na khud hai zainab e nachar bhi us ek rassi me
bandhe hai abid e beemar bhi is ek rassi me
sakina kis tarha panjo ke bal par chal ke jati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
4. Bohot rote hai abid dekhkar ye halat e zainab
ke aisa imtehaa nabiyo se bhi leta nahi ya rabb
imamat sar jhuka kar khoon ke aansu bahati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
5. Khudaya hai yahi mushkil kusha e waqt ki poti
ye saara shaam kehta hai sakina chup nahi hoti
lahu kano se behta hai tamache muh pe khati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
6. Khuda aur mustufa ke deen ka paband hai koi
na majme me hazaro ke bhi ghairatmand hai koi
musalmano ki ghairat par bohot aansu bahati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)
7. Sharabi badnasab darbaar hai kitne laee dekhe
khadi zainab thi jisne 700 kursi nashee dekhe
madad ko saatwe(7) darr par ali ko ye bulati hai
abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)