Samne Darbar Ke

- Shahid Baltistani (2010)


Haye Bimaar haye darbar - 3

Samne darbar ke ghairate Sajjad ka hai yeh kaisa imtehaan - 2

Teen din guzre khari hain x2, Fatima ki betiyaan

1. Shaam waaley has rahe hain, bekaso ko dekh kar
Hai charagha(n) chaar soo aur, saj rahe hai bamo-dar
Baabe sa’at par ruka hai, bekaso ka carava(n)

2. Khoon rota hai jo Abid, us ko ye ehsaas hai
Fatima Zehra ki chaadar, shamiyon ke paas hai
Dekh kar kehti hai Zainab, mere Ghazi ho kahan

3. Sar Ali Akbar ka neze par uthate hain shaqee
Sun chuki satrah azaane, berida binte Ali
Ro rahi hain har azaan sun, ker Ali Akbar ki maa

4. Misle Zehra sar jhukaye shaamiyon me aa gayi
Chaar barson mein Sakina par za’eefi chaa gayi
Kaan bhi zakhmi hain galo, par tamachon ke nishan

5. Khoon ke aansoon tapakte, hain sar e Shabbir se
Poochti hai jab Sakina, Zainab-e-dilgeer se
Aye phupi amma yahan se, kab chalega carava(n)

6. Sab se mushkil merhala Sajjad pe Yawar ye tha
Shaam ke darbaar me jab, qaafila jaane laga
Parh rahee thi(n) inna lillah, us ghari sab bibiyaan

Samne Darbar Ke Ghairate Sajjad Ka