Bazaar aaya darbaar aaya

- Imran Mehdi (2014)


"Baazar aaya darbaar aaya"
Beemar Aabid rokar pukaara, Baazar aaya darbaar
aaya,
Baalon se parda karlo khudaaya, Baazar aaya
darbaar aaya,
Beemar Aabid rokar pukaara, Baazar aaya darbaar
aaya,

1. Pairon mein chhale honton pe naale, kis kis ko aabid
tanha sambhale..(2)
Patthar kisine zainab ko maara, Baazar aaya
darbaar aaya,

2. Ek reesma hai baara gale hai, aansu bahaate qaidi
chale hai..(2)
Zakhmon se jaari hai khoon ka dhaara, Baazar aaya
darbaar aaya,

3. Boli Sakina mushkil hai jeena, ranjo-alum se
phatta hai seena..(2)
Hai qabr jaisa maahoul saara, Baazar aaya darbaar
aaya,

4. Hai pushte Aabid durro'n se zakhmi, Aakhon ke
khoon se bheegi hai bedi,..(2)
Ahle sitam hai mehwe nazaara, Baazar aaya
darbaar aaya,

5. Noke sina par rote hai sarwar, aaya zameen par
abbas ka sar..(2)
Tadpa sina par Haider ka pyaara, Baazar aaya
darbaar aaya,

6. Fizza ke haami maujood kitne, Zainab ke lekin bhai
na bete..(2)
Na koi waaris hai na sahaara, Baazar aaya darbaar
aaya,

7. Sajjad dilko kaise sambhale, khoon ro rahe hai
pairon k chhale..(2)
Kaanto pe aabid ko hai guzaara, Baazar aaya
darbaar aaya,

8. 'Imran Mehdi' 'Rehan Muztar' kaise bayaan ho
humse woh manzar,
Binte Ali ne jis dum pukaara, Baazar aaya darbaar aaya,