Tera sadqa husain
- Nasir asghar party (2013)
Ya husaina husaina husaina
gir gir zamee pa teero pa thehra jo jisme shaah
Ya husaina husaina husaina
manzar ye dekh rote rahe saare ambiya
besakhta ye nara e takbeer ne kaha
tera sadqa husain..(4)
husain husain husain
tera sadqa husain..(4)
Ya husaina husaina husaina
1. Roti rahi namaz musalla bhi ro pada
pyasa husain zeen se jab khaak par gira
sar ko kata ke kardiya baland la ilaah
arshe bari se khaliq e akbar ne di sada
tera sadqa husain..(4)
2.Apne karam se rasme karam kar karam kiya
tune wo mezbaan ka haq hai adaa kiya
karbobala ye kehti hai shabbir shukriya
sehra ko tune arsh e mo'alla bana diya
tera sadqa husain..(4)
3. Aine lailah ki buniyaad hai husain
khaliq jo kar rha hai wo faryad hai husain
hur ka zameer aaj bhi sarshaad hai husain
insaan tere dum se hi azaad hai husain
tera sadqa husain..(4)
4. Haq ko baland karke rukega ye karwaan
udti rahegi parcham e batil ki dhajjiya
qabr e batool aaj bhi karti hai ye fugha
haq ki baqa ke waste bolegi har zabaa
tera sadqa husain..(4)
5. Binte ali zamee pe giri thaam kar jigar
zehra ke dono haath bukai wa nauhagar
qurban kar diye hai pisar dono bhai par
zainab ye keh rahi thi bayaba me nange sar
tera sadqa husain..(4)
6. Bikhra pada tha azmate tauheed ka quraan
beemar e karbala pe ajab tha ye imtehan
pehlu me saath jiske sakina thi neem jaan
naize pe sar husain ka dekha to di azaan
tera sadqa husain..(4)
7. Binte ali ne sabr ka har imteha diya
ankho me ashk aaye to ashko ko piliya
kufa ki shahzadi ne paidal safar kiya
raahe khuda me jo diya ye soch kar diya
tera sadqa husain..(4)
8. Yawar har ek ghum ka madawa hai ya husain
momin ki zindagi ka asasa hai ya husain
qur'an e karbala ka khulasa hai ya husain
khaliq jo padh raha hai wazifa hai ya husain
tera sadqa husain..(4)