Tera sadqa hussain

- Daniyal (2013)


Ya husaina husaina husaina..(4)

Kuch bhi bacha na tera magar deen bachgaya
zehra ke laal tune to hairan kar diya
Ya husaina husaina husaina..(2)

Kuch bhi bacha na tera magar deen bachgaya
zehra ke laal tune to hairan kar diya
sar ko kata ke kar diya baland la ilaah
lashe pe tere roke ye kehne laga khuda
tera sadqa husain..(4)

1. Mai janta hu tu hi mera kaar saaz hia
mere samet nabiyo ko tujhpar hi naaz hai
Ya husaina husaina husaina..(2)

Mai janta hu tu hi mera kaar saaz hia
mere samet nabiyo ko tujhpar hi naaz hai
Naize ki nok par bhi tu hi sarfaraz hai
dono jaha me raej ye meri namaz hai
tera sadqa husain..(4)

2. Sanke baja diya hai jo parwardigar ke
sehra ki garm ret par sajda guzar ne
Ya husaina husaina husaina..(2)

Sanke baja diya hai jo parwardigar ke
sehra ki garm ret par sajda guzar ne
khanjar tale abbas bhai ko pukar ke
khaimo se aae bayn har ek pardadar ke
tera sadqa husain..(4)

Tere qirdaar se ae doshe mohammad ke makee
izzat e ambiya baqi hai qura baki hai
lashkare shaam se aati thi sadae paiham
bhejo shabbir agar koi jawa baqi hai
shabe ashoor guzarne pe jo ummat ne suni
aaj bhi shakl e payambar ki azaa baqi hai

3. Mar kar husain aapne jina bacha diya
dooba tha zulmato me safina bacha diya
Ya husaina husaina husaina..(2)

Mar kar husain aapne jina bacha diya
dooba tha zulmato me safina bacha diya
dekar jawan bete ka seena bacha diya
kya kya na tune shahe madina bacha diya
tera sadqa husain..(4)

4. Khaimo se aa rahi hai bayat waqt ye sada
hum lut gaye hai dasht me mazloom e karbala
Ya husaina husaina husaina..(2)

Khaimo se aa rahi hai bayat waqt ye sada
hum lut gaye hai dasht me mazloom e karbala
kubra ka taaj loot ke ghut marna ashkiya
deene khuda bachalo lut kar meri rida
tera sadqa husain..(4)

5. Tapti hui zamee ko musalla bana diya
tune husain deen awalla bana diya
Ya husaina husaina husaina..(2)

Tapti hui zamee ko musalla bana diya
tune husain deen awalla bana diya
sajda azeem taur pe allah bana diya
is dasht e nainawa ko mo'alla bana diya
tera sadqa husain..(4)

6. Zikr e husain ain ibadat khuda ki hai
hafzaal aaj karlo ziyarat khuda ki hai
Ya husaina husaina husaina..(2)

Zikr e husain ain ibadat khuda ki hai
hafzaal aaj karlo ziyarat khuda ki hai
nauke sina pe jaari tilawat khuda ki hai
teghe jafa ke neeche shahadat khuda ki hai
tera sadqa husain..(4)