Bee Abi anta wa ummi Ya Hussain

- Ali Deep Rizvi (2012)


Bee Abi anta wa ummi Ya Hussain

{Hussain Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain maula}..(4)

{Bee abi anta wa ummi Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain}..(2)

Aap ka sadqa hai ye zindagi
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain

Bee abi anta wa ummi ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain

1. {Shukre khalik hai duae Zehra,
Apni socho pe nahi hai pehra}
Maksade shah nibhaenge hum,
Rabta usse bada hai gehra
{Ya Hussain Ya Hussain}..(2)
Bee abi anta ..........

2.  {Teri Qurbaani ka ye sadqa hai,
Aaj Islam ka jo  charcha hai}*2
Tu hai pehchan khuda ke dee(n) ki,
Tu ne kayam jo ise rakha hai

3. {Tere sajde ka bharam rakhenge,
Hum masajid ki safe bhar denge}..(2)
Tu ne naize pe jo Qur'an padha
Us se roshan ye jahaa kar denge

4.  {Ye tahajjur ki jo beemari hai,
Tere  maksad se ye gaddari hai}..(2)
Kehna Labbaik sada par teri,
Sacche momin ki azadari hai

5. {Hukme maula se akidat hogi,
Ulmae dee(n) ki ita'at hogi}*2
Haqqe takleed ada bhi hoga,
Mushtahid ki sada nusrat hogi

6. {Kaise mumkin hai ke dar jaenge,
Marte dum tak tere keh laenge}..(2)
Har jaga dekhna matam hoga,
Har jaga majlise kar waenge

7. {Naaz hai humko tere naukar hai,
Shukre khalik hai ke hum haq par hai}..(2)
Ek hamari hai fauje Hizbullah,
Khamienae hamare rehbar hai

8. {Tere sookhe huwe hootho ki kasam,
Tere jalte huwe khaimo ki kasam}..(2)
Haye shay roz ke pyaaso ki kasam,
Hashr tak tazaa rakhenge ye gum

9. {Ye Ali Deep ki hai dil se dua,
Ho zahoor ab ta mere maula ka}..(2)
Daure zulmat ye fanaa ho jae,
Karz karbal ka bhi ho jae ada