Ya Sayyada
- Fatema Ladak (2007)
Ya Sayyeda (SA)
(Haae Zaeefa Fatema) x2
(Sayeda,Fatema,Tahera,Sayeda) x2
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Is saari qaaenaat me, Zahra hi aisi maa hai, saaya fighan usi pe, zakhmo ka aasma hai, tori gayi hai zulm se, bibi ki pasliyaan, rukhsar pe tamache ka, bibi pe ik nishaa hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Dunya se joye baat hi, kehti chali gayi hai, baba sitam ki mujpe, wo intehaa huwi hai, parte jo din pe raat sa, taarikh hota din, talwaare gham kaleje par, baba mere chali hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Wo ghar jahaa pe mout bhi, ijazat talab huwi hai, us dar ko aag aap bhi, ummat laga rahi hai, Mohsin shaheed hogaya, baba sitam huwa, baba tumhare Fatema, chakra ke gir pari hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Baade wisal-e-Zahra bhi, gham ka safar raha hai, uski misaal shaam hai, kufa hai karbala hai, Zahra ke bete betiyaa, khun me naha gaye, neze pe koi sar koi, sar beridaa huwa hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Ye maa jab apne laal ke, laashe pe aayi thi, aankhon se ashk lab pe, bas ye duhaayi thi, kehti thi mere laal ay, mere tishnalab Hussein, tu hi to mujh gharib ki, saari kamai thi
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Darbaar-e-shaam mei gayi, zainab wo beridaa thi, beti ke saath roti, huwi amaa Sayeda thi, kehti thi teri aur meri, takdeer ek hai, mujh par ghamon ki had huwi, mujh par bhi imtehaan thi
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
Is maa ne saath shaam ka, pedal safar kiya hai, Zainab ko rahe shaam me, yu hosilaa diya hai, rokar pukaari saath hai, Zainab ye teri maa, tu beridaa nahi hai ye, Zahra ka sar khulaa hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
"Rehan Azmi" ye hasnain ki jo maa hai, maqtal mei karbala ke, karti huwi fughaan hai, bikhre hi baali dard se, chehraa nidhaal hai, gham se zaeef hogayi, aankhon se khun rawa hai
(Ya Sayeda,Ya Sayeda) x2
(Sayeda,Fatema,Tahera,Sayeda) x2 (Sayeda) x2