Rone walo sheher madine me
- Nasir asghar party (2008)
Sayyada ya fatima..(2)
Rone walo sheher madine me ek aisa bhi waqt aaya hai
kalma goyo ne kalma walo ko
bhare darbar me rulaya hai
1. Hai muqadma rasool zaadi ka
bhare darbaar me woh aayi hai
jinpe allah bhi durood padhe
aise farzand saath laayi hai
pasbane fidak ne fir kaise
un gawahon ka dil dukhaya hai
2. Masnade mustafa pe ghaasib hai
samne mustafa ki beti hai
mera haq de do ae musalmaano
roke khairunnisa yeh kehti hai
mere baba ke baad kyu tumne
fatema par yeh zulm dhaya hai
3. Bola bezarf ae nabi zadi
tere haq ko mai janta hi nai
ja likhi thi tumhare baba ne
mai woh tehreer manta hi nai
chaak kardi sanad muhammad ki
qehqaha zor se lagaya hai
4. Qabre ahmad pe jake kehne lagi
fatema ko zaeef kar dala
dekho baba tumhari ummat ne
kitna mujhko zaeef kar dala
mera mohsin shaheed kar dala
mere pehlu pe dar giraya hai
5. fatema sayyada ko baba ki
gar wirasat pe ikhtiyar nahi
fir woh aurat nabi ke hujre ki
ae musalmano wirsadar nahi
jisne maula hasan ki mayyat par
teer hatho se khud chalaya hai
6. Gham e aale aba me rehta hai
zikre shabbir aam karta hai
matami tauko teer nauho me
isliye bhi salam karta
jisne bibi batul ke gam me
dilko baitul huzn banaya hai