Aye ghairat e maryam
- Miscellaneous (2014)
aye ghairat-e-maryam tera bazar me jaana
na bhool sakega ise ta hashr zamana
1.Jis dar pe salami diya karte the payambar
rukjao musalmano na is ghar ko jalaana
2. Ab khaak pe soyegi sakina teri kaise
tha tune sikhaya ise seene pe sulana
3. Mar jaaye jo shauhar to pana dete hai bhai
kubra kahan jaaye na raha koi thikana
4. Kyu zainab o kulsoom ki chinti hai ridayein
jao are logo mere ghazi ko bulaana
5. Uth ti nahi baba se teri laash ali akbar
tha tune to beta meri mayyat ko uthaana
6. Tu dukhtare zehra hai nawasi hai nabi ki
baazar me sar nange tera khutba sunana
7. Islam pe do beton ko qurbaan kiya hai
kismat may teri likha hai ye daagh uthaana
8. Aye dukhtare hyder wo qayamat ki ghadi thi
sar nange tera shaam ke darbaar may jaana
9. Ye majlis o maatam ke bina tere hi dam se
paaya hai azaadar ne bakhshish ka banana