De raha hai yeh gawahi

- Shabih Abbas Jafri (2014)


De raha hai yeh gawahi har shaheed e karbala
ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

iss sada se gunjti hai saari maqtal ki fiza
ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

1. Jab sahar aashur ki ubhri saji karbobala
naam mehzar me bahattar ka tha likhha ja chuka
khoon se maqtal me yeh tehreer sabne kar diya

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

2. Saare ansaar e husain paikar e azm o wafa
ishq e haider se tha dil labrez har ek fard ka
naam e haider leke sab sarwar pe hote the fida

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

3. Bar sar e maqtal jo aaya murtuza ka ladla
teen din ki pyaas thi jalta hua dasht e bala
par jari ki tegh jo uthhi to uthhi yeh sada

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

4. Zeen se aaye zamee pe sarwar e zeeshan jab
dilme jiske ho ali woh maut se ghabraye kab
kehke yeh khanjar tale shabbir ne sajda kiya

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

5. Baad e sarwar jab haram pe chha gayi shaam e alam
azm e sarwar dil me tha zainab ka tha jazba na kam
haath me ghazi ka parcham aur labo pe bus raha

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

6. Jab aseero ne safar bazaar ka tay kar liya
shaam ke darbaar me aayi jo binte sayyeda
lehja e haider me zainab ne yehi khutba diya

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

7. Koi majlis ho juloos e gham ho ya farsh e wila
inki zeenat ka sabab to hai ali ka tazkeera
de rahe hai ye sadayein isliye ahle aza

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali

8. Ishq e haider ishq e sarwar se hai yeh saari ataa
ab kalam "salman" ruk sakta nahi hai yeh mera
asl me yehi shahadat hai aqeede ki baqa

ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali
ali ya ali, husain ya husain
husain ya husain, ali ya ali

de raha hai yeh gawahi har shaheed e karbala
ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali..(2)