Quran O Ali Ilm ka Meyaar

- Mir Hasan Mir (2007)


ya ali ya ali ali ali
ya ali ya ali ali ali

Allah o Payambar x2
kay madadgar hain dono
Quran o Ali(A.S) ilm ka mayar hain dono x2

ashiq meray mola kay hain dono hain wafadar
ik Hazrate Isa hain to ik Messame Tammar
haider ki mohabbat main sare dar hain dono

kud kehtayhain kuffar ye dawa nahi mera
siffin ka lushkur ho ya ho ghat ka pehra
ghazi kay liyay rait ki diwar hain dono 

kaam agaye turbat main meri ulfate Hasnain(A.S)
apnay hi aqeeday ke milay muj ko naqeerain
meri tarhan Mola kay azadar hain dono

Fitrus yehi kehta hua urta hai hawa main
Kaabay main dua maang lo ya karbobala main
Shabbir(A.S) shenshah kay darbar hain dono 

maray gaye talwar se jub Marhab O Antar
ashab e Payambar se kaha mot nay hans kur
do aye thay maidan mai ab char hain dono

ik sajda e Mabood se moon mor raha hai
ik halqa e matam se hamain tor raha hai
tum kuch bhi kaho asl mai ghaddar hain dono

ik hai Shab e mairaj Payambar se mukhatib
ik hai sare darbar sitam gur se mukhatib
lehjay mai magar Haider e karrar(a.s) hai dono