Kaam Mushkilo me aaye
- Miscellaneous (2014)
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali
saari duniya bulaye usse kuch bhi na bhaye
bane jiska sahara ali ali
kudrat ki banayee har shay per, tu poori tarha se galib hei
murda zinda hokke jaye, suraj bhaga bhaga aaye
jo ho tera ishara ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali
hei achi tarha maloom usse, kiski chukhat per jaana hei
darassal sitaare ka makksad, kuch logon ko tarpana hei
dil ki dhadhkane bhadhay, na jagay na sulaye
karta jaaye yeh sitaara ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
woh hei mola humara ali ali
ke woh jiske aik ishare per, maghrib se palat aaye suraj
so jaan nichawar chand kare, qadmon mein bichajaye suraj
aisa mujza dikhaye, kuch samjh mein na aaye
wohi rab ka dulara ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali lai
mushkil ki ghadi jab aan padi, islam ko jang e khaibar mein
bhandar yeh lashkar dekh ke ik, halchul thee dile paighamber mein
sab the sar ko jhukaye, tabhi jibrail aaye
aur goonja yeh naara ali ali
kaam mushkilon main aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali
iss dehr mein jinke shaam o sahar, katte'y hein bughze haider mein
unn chehron pe lanat barse gi, yeh haalat hogi mehshar mein
khade honge sar jhukaye, aur karenge haye haye
nahi jinko gawarah ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali
dar dhoondh raha tha haider ka, mujhe shehre ilm ko jana tha
kion jata bhala mein idhar udhar, jab mola ka deewana tha
mein tha aas lagaye, koi raah dekhaye
tabhi dil ne pukara ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali
honton per ali ka naam rahe, iss jism mein jab tak jaan rahe
nayab humara tan maan dhan, sab mola per qurban rahe
maut hum ko na aaye, jab tak ek baar na dekhaye
rab roza tumhara ali ali
kaam mushkilon mein aaye sab ki bigdi banaye
wohi mola humara ali ali