Safar saro ka

- Ahsan Manglori (2011)


{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(3)

1. Ye qafela to husain ka hai..(3)
husain isme magar kaha hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

2. Khuda hi jaane hai kaise qaidi
salaam ho inki ghairato par
zamee ki janib nazar jhukae
aseer e gham meere karwaa hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

3. Chhidi hui mashk hai alam hai
kisi alamdaar ki nishani
najane tooti hai aas kiski
lahu me dooba hua nisha hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

4. Jise bhi dekho sitam zada hai
saubate hai musafirat ki
gubare raahe alam saro par
rukho se mazloomiyat ayaa hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

5. Hai ek bibi ki god khaali
labo pe bewarisi ka nauha
jo saaye me aaj tak na baithi
ye kiski bewa hai kiski maa hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

6. Ajeeb bedaat ho rahi hai
bandhe hai 12 gale rasan me
usi me apna gala bandhae
hui koi ek neem jaa hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

7. Hai koi tasveer rabt o gham ki
to koi girya hai shaam kehkar
labo pe aakar theher gai hai
najane kis gham ki daasta hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)

8. Kaleem ghar ghar hai sog kiska
zaba pe ehsan hai kiska nauha
bapa hai majlis bapa hai matam
azaa hai, faryaad hai, fugha hai

{Safar saro ka sina sina hai
kalaam haq ka zaba zaba hai}..(2)