Mai dua bangaya dekhte dekhte

- Nadeem Sarwar (2013)


ae khuda ae khuda
tu sharaf hi sharaf
tu ata hi ata
wazkuruni ki ayat ka wada tera
mujh se ek benawafa par teri ye ata
isme tere shaheedo ka hai tazkera
wo nawa bangaya dekhte dekhte

mulko mulko gaya qarya qarya gaya
un zameeno pe kya kya na dekha kiya
karbala jab gaya dil dhadakne laga
mai dua bangaya dekhte dekhte

jab ziyarat ko rozo pe unke gaya
mere ashko ne gir gir ke sajda kiya
mai zaba se kaha par na kuch keh saka
ilteja bangaya dekhte dekhte

maine nauhe padhe haq se izzat mili
rone walo se kya kya na izzat mili
rone wale mere sath chalte rahe
qafela bangaya dekhte dekhte

ranjishe mit gai bojh kam hogaye
jab bhi nauha padha sab baham hogaye
jisko mujhse kabhi koi shikwa raha
wo mera bangaya dekhte dekhte

koi mashriq me ho ya ke maghrib me ho
ishq e maula me hael nahi dooriya
is taraf ya ali us taraf ya nabi
is taraf ya nabi us taraf ya ali
rabeta bangaya dekhte dekhte

subhe aashoor jiska muqaddar khula
dil wo durr bangaya durr se hurr bangaya
aur jo hurr ka muqaddar samajh na saka
hurmala bangaya dekhte dekhte

ek moharram gaya fir safar aagaya
fir safar bhi gaya mai safar me raha
ae safeere aza bus yahi tazkera
mashghala bangaya dekhte dekhte