Ab zahoor kijiye imam

- Ali Deep Rizvi (2009)


ab zahoor kijiye imam..(2)

de rahe he ab yahi sadaye sab ghulam
ab zahoor kijiye imam

1. Har taraf hi zulm he fiza he ashk baar
horaha he aapka hi maula intezar
kar rahe he momineen girya zarozaar
ashikane maula horahe he bekarar
jald ho zahoor ye dua he subho shaam

2. Sarkashi ka daur he munkir he shadma
zulm charsu he dhunte he sab amaa
be akeeda log kar rahe he ye fugha
koi rehnuma nhi he jaaye hum kaha
momino ke lab pe mustakil he ye kalam

3. Deen ko mazak log yun bana rahe
khudko ashikane mustufa bata rahe
jo kaha rasool ne ye sab bhula rahe
apni marzi deen me he khud chala rahe
deen ka badal ke rakhdiya he har nizaam

4. Haq ki dasta koi nahi daba saka
zikre karbala koi nhi chupa saka
koi na hussain sa duniya me aa saka
jo apne khoo se deene mustufa bacha saka
dushmano se lene aaiye ab intekaam

5. Horahi he majliso me ab siyasate
jahilo ke haath me he ab nizamate
qaum muntashir he muntashir kayadate
khud sariki hartaraf hi he alamate
tang ho rahi hayaat kijiye kayam


6. Mimbaro se dars kuch nhi he mil rahe
dars gaho me ajab nizaam chal rahe
fatwe apni marziyo se he badal rahe
inqelabe daur me ye kaam chal rahe
aane waali nasl kya karegi haq ko aam

7. Hum zamane bhar ko de rahe he ye payam
aap hi to he hamare waqt ke imam
hum ko naaz he ye apke he hum ghulaam
aur ab na chahiye hame koi inaam
bhejte he aap pe hazaro hum salaam

8. Mai to kuch nhi hun sab he aap ka karam
rakh rahe he mera is jahaan me bharam
ye aata he apki jo likhta he kalam
apne is ghulaam pe he aap ka karam
dediya he deep ko jo apne makaam