Ali ke chahne wale khushi aise manate hai

- Ali Safdar (2014)


ali ali ali ali ali Haider..(2)
Haider haider haider

Ali k chahne wale khushi aise manate he
lagate haideri naare jo chehre muskurate he

1. hamari bandagi maula hamari zindagi maula
nabi ne kehdiya maula jisse bus he wahi maula
sikhaya maa ne apni looriyo me yaa ali maula
ghadeere kum ka kissa apne bacho ko sunate he

2. khula karta he haj ke darmiya khushiyo ka darwaza
tawaf aisa he hota jhumta he khaanaye kaaba
dilome azmate tauheed lab par ya ali maula
khuda k ghar ali paida huwe sabko batate he

3. jo kehlata he momin karbala ka he wo bashinda
mazalim k mukabil khoon se rehta he payinda
ali par jaan dekar ye hamesha hogaye zinda
shaheedo k to chehre b kafan me muskurate he

4. koi bhooda b aajaye to wo hokar jawaa uthe
dilo se naaraye haider zami ta asma uthe
mere har shair par dilse munafik k dua uthe
jo munkir he ali k unko lafzo se jalate he

5. musalsal koshisho k batbi nakaam tha lashkar
alam jisko payamber se mila wo mard he haider
mawali sab ikhatte hogaye he saj gaya khaiber
jo shachi baat hoti he wohi sabko batate he

6. bhulaya tha shabe meraaj jisko haqne apna tha
bohot nazdik tha mehboob bus kehne ko parda tha
khuda ne baat ki jisme bohot manoos lehja tha
ali ki thi anghuti aur ali ka haath dekha tha
bohot khush he nabi meraaj se tashreef laate he

7. yaha he sakiye kausar yaha jannat k dar b he
malaik he yaha maujood aur jinno bashar b he
fazayai he yaha athar ali safdar kamar b he
ye aisi bazm he jisme
imame asr aate he

8. jo apne rokh ko pehle dinse hi haider se moode he
ali k daig ko dekha to kitni taiz doode he
faraar aise huwa aage k peeche unke ghoode he
hum unka zikr karte he jo aadhi bhagoode he
hai adat baagne ki jinko hum unko bhagate he

9. yahi rakhte he rooze raat din he ye dua karte
fariza khums ka har toor se he ye ada karte
ali waale nahi hargiz namazo ko kaza karte
namazome khuda k samne sar ko jhukate he