Mai nahi manta

- Zafar abbas zafar (2012)


kar na paye jo ajr e risalat ada
us musalman ko mai nahi manta
wo jo zulm o tashaddud pa khamosh hai
aise insan ko mai nahi manta

aap jhutho ko sadiq banate rahe
buzdilo ko bahadur kaha aapne
kulle eemaan se jisko nisbat na ho
uske eemaan ko mai nahi manta

ehle baite nabi ka qasida hai ye
jisko maula ne maula pe nazil kiya
jiske qur'an me hal ata hi na ho
uske qur'an ko mai nahi manta

hum malango ko tasleem hai wo chaman
jisme khilte rahe ho gule panjetan
fasl hi jisme bughze ali ki lage
us gulistan ko mai nahi manta

uski wabastagi hai najis khoon se
jo nabi ke nawase ko baghi kahe
jo yazeed aise zaalim ki izzat kare
aise marwan ko mai nahi manta

kon gumrah hai kon haq ashna
mehdi e dee bata denge aakar tumhe
aale imran ko tum nahi mante
nasle sufiyan ko mai nahi manta

kon gustaakh hai kon hai bawafa
faisla ye bhi tareekh ne kardiya
lafz e qirtaas ko tum nahi mante
lafz e hizyan ko mai nahi manta

haisiyat kya hai baghe fidak ki bhala
baghe jannat ki hai maaleka sayyada
wo jo darbaar e ghasib se sadir hua
aise farman ko mai nahi manta

kaum ke be zameero se kehde koi
waqt ab ye gharo se nikalne ka hai
jante bujhte bhi jo anjaan hai
aise insaan ko mai nahi manta

kya nabi ke nawaso se afzal ho tum
apne hujro se bahar nikalte nahi
mard ki shaan hoti hai maidan me
buzdil insaan ko mai nahi manta

bolte hai jo mazloomiyat ki zuba
chahte hai zamane me amno amaa
jisko insani jaano ki parwah na ho
aise insan ko mai nahi manta

chahte ho agar khana jangi naho
hukmurano bus ab hosh me aao tum
qatilo ko sare aam latkao ab
sirf ailaan ko mai nahi manta