Pata Nahi Ye Kya Hai

- Nadeem Sarwar (2008)


Yeh Dil Sochta Hai, Yeh Dil Khojta Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Hijabon Ke Aandar Hijabon Se Bahar
Nakabon Ke Aandar Nakabon Se Bahar
Nazar Jo Na Akar Nazar Aa Raha Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Yeh Kis Ki Zaban Se Khuda Bolta Hai
Yeh Kiska Hai Lehja Yeh Kiski Sada Hai
Chupa Kaun Hai Aur Kaun Zahir Hua Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Tum Apni Nazar Se Ali (A.s) Ko Na Dekho
Ali (a.s) Ko Samajhne Se Pehle Yeh Samjho
Jo Marte Hue Shafaie (La) Keh Gaya Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Ke Ho Kibriya Ya Ke Ho Woh Payambar
Woh Ho Sayada (S.a.) Ya Ho Shabbir (A.s.) O
Shabbar (A.s.)
Hai Inke Siva Kaun Kispar Khula Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Yeh Ismat Ki Wahdat Khuda Ki Haqikat
Wali Ki Sifat Ambia Ki Haqikat
Khuda Ki Kasam Bas Yehi Jaanta Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Samajh Me To Aajaie Tab Woh Ali (A.s.) Hai
Khuda To Khuda Hai Ali (A.s.) To Ali (A.s.) Hai
Nusairi Ko Aakhir Yeh Kya Ho Gya Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Yeh Kaabe Ke Deewar Me Dar Bana Ke
Ghar Apna Samajh Kar Yeh Ghar Me Khuda Ke
Khuda To Nahi Hai Yeh Kaun Aaraha Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Jise Apni Bistar Pe Aaie Sulakar
Falak Pe Yeh Dekha Mohammad (S.a.w.w.) Ne
Aakar
Wahan To Ali (A.s.) Tha Yahan Par Yeh Kya Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai

Naved Aur Sarwar Khuda Jaanta Hai
Yeh Asrar E Tawheed Kispar Khula Hai
Fakat Sochna Hai Fakat Sochna Hai
Pata Nai Yeh Kya Hai , Pata Nai Yeh Kya Hai