Bas Raaj karegi Karbobala

- Shahid Baltistani (2013)


Sarallah Ya Sarallah
Ya Sarallah Ya Sarallah (2)

Ghaibat Ka parda uthnedo
jo dekh rahe hum logo
tum bhi dekhoge yaad rakho

zulm phir zulm hai khoon phir khoon hai
zulm phir zulm hai badhta hai to mit jaata hai
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega

Khaak e sehra pe jame ya tafe qatil pe jame
FARQ INSAF PE ya paye salasil pe jame
tere bedag pe ya lashe bismil pe jame
khoon fir khoon hai tapkega to jam jaayega

jo roze ajal se paya tha
sabit hua roze ashura
yeh kal bhi humara dawa tha
yeh aaj bhi hai apna dawa
zillat hai muqaddar batil ka

bas raaj karegi karbobala

daur ho chahe koi bhi 2
hai khuda ka faisla
bus raj karegi karbobala

zillat hai muqaddar batil ka

karbala ka raj hi deene khuda ka raaj hai
khanjaro ki maut hai yeh khoon ki meraj hai
nauke naiza par ali ke laal ne sabit kia

khun behkar bhi amal hai zulm ko maut aa gai
gir gaya darbar batil karbala me aj bhi
ab bhi hai lehra ke kehta hai alam abbas ka

zulm ki baat hi kya zulm ki aukat hi kya
zulm fir zulm hai agaz se anjam talak
zulm ki kismat hai nakara aur ruswa se kaho
jabr ki hikmat hai purkar ki imaan se kaho
khun diwana hai daman se lapak sakta hai
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega

zulm ki shehrag jo kate khun woh shamsheer hai
jabr ko qaidi jo karle khun woh zanjeer hai
khun ke ansu bahakar di yeh abid ne sada

sham ke darbar me hai binte zahra berida
yeh woh manzil hai jahapar sabr khud rone laga
baap ke lehje me khutba deke zainab ne kaha

ho kisi katil ka khanjar ya ho damane zameen
khun ki sulji takallum chup nai sakti kabhi
har gali me hai yeh nara aj bhi darwesh ka

tune jis khun ko maqtal me dabana chaha
aaj woh kucha o bazar me aa nikla hai
kahi shola kahi nara kahi patthar bankar
aisey shole jo bhujao toj bhujae na bane
aise narey jo dabao toh dabae na dabe

labbaik yaa hussain