Aye waqt ke husain ab aajao ek baar
- Ali Safdar (2010)
Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan - 2
Aey waqt ke Hussain ab ajao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Jalwa karain jahan main Imam e Falak Wiqar
Chamke ufaq pa phool ke phir noor e kirdigar
Hojae poora teen sou tera (313) ka ab shumar
Sadyon ke baad khatm ho Maula ka intezar
Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Ghaibat ka parda unke uthane ke baad bhi
Ilm o amal se khud ko sajane ke baad bhi
Maula ka saath dena hai aane ke baad bhi
Jaana nahi charagh bujhane ke baad bhi
Naasir hai kaun kaun ye hona hai phir shumar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Hai maqsad e hayat yahi khaas o aam ka
Atka hua hai seene mai dam es ghulam ka
Poora ho khwaab nusrat e shah e anaam ka
Bas ek bar dekh loon chehra Imam ka
Sadyon se hai Imam e Zamana ka intezar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Bas ek bar Deen e Khuda ko bachaiye
Bas ek baar amn o aman sath laaiye
Bas ek baar pardae ghaibat uthaiye
Daadi ka roza karta hai faryaad aaiye
Phir Jannatul Baqi mai aajaegi bahaar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Baba ab apne zakhm ko dhoti nahi hoon main
Noke mizhan pe ashq piroti nahi hoon main
Durron se khauf aata hai roti nahi hoon main
Raaton ko neend aati hai soti nahi hoon main
Zindaan se Sakina ko lejao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Bazar e Shaam mai hai masaeb ki inteha
Phupiyon ke sar khule hain tou Aabid ka sar jhuka
Hojaen tai ye saathwe dar ka bhi marhala
Namoose Mustafa ko jo mil jae ek rida
Reh jae Maan ki chadar e tatheer ka wafa
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Deen par amal, tameez halal o haram ho
Jazba jihad e haq ka zamane mai aam ho
Eesar ka hai shauq tou phir aisa kaam ho
Bas ek bar Lashkar e Mehdi mai naam ho
Phir eske baad mushkilain aaen qamar hazaar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan