Haye Nafsullah haye noorullah

- Sajjad Merchant (2014)


Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH
 

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)
 

Sar pe BISMILLAH ke tegh e sitam ka waar hai

Sajda e khaliq me zakhmi HAIDER E KARRAR HAI(ASWS)

1)Aj hai mehrab me saara musalla khoo(n) me tar
Haye ghurbat ho gaya kabe ka kaba khoo(ń) me tar
Bolte quraan se jari lahu ki dhaar hai

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)

2) Nauha-e-HASNAIN(asws) hai wa MUSTAFA(asws) wa MURTAZA(asws),
ZAINAB(asws) o KULSOOM(asws) ke naalo se hai mehshaar bapa
Nauhakhaw(n) hain AMBIYA JIBREEL matam daar hai

Hae Nafsullah Hae Nurullah

Hae Nafsullah Hae Nurullah

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)

3) Woh joh NAFSULLAH NOORULLAH WAJHULLAH tha,
Woh jo BAABULLAH ISMULLAH AINULLAH tha,
Aj uske gham me khud Tauheed bhi ghamkhwaar hai

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)

4)Woh hua zakhmi jo hai deene khuda ki aabru
Ayaate Kubra ki peshaani se bheta hai lahu
Uske gham me muztareeb har ek roza daar hai

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)

5)Zehre qatil woh tha ke haaye tadap uttha tabib
Dekh kar zakhme ALI(asws) sar peet kar bola tabib
Ab shahadat lazmi hai zindagi dushwaar hai

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)

6)Haaye MAULA khe ke rote hain sabhi jinno bashar
Kat gaya yeh dekh kar Hamid farishto ka jigar
Hamla aawar zeher me dubi hui talwaar hai

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

Haaye NAFSULLAH Haaye NOORULLAH

YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS) YA ALI(ASWS)