Bazaar ke manzar ko aur apne khule sar ko

- Miscellaneous (2014)


Bazaar k manzar ko aur apne khule sar ko bhuli nahi main
"Apne bandhe hatho ko bimaar k zewar ko.."

1.Uthti huyi andhi ko wehshat ko bayabaa ko..
Chhupte huye suraj ko taariki ko maidan ko
Chalte huye khanjar ko naize pe tere sar ko..

2.Masoom sakina ko badhte huye naizo ko..
Rizte hye gaalo ko berehem tamacho ko..
Rizte huye kaano ko khinchte huye gauhar ko..

3.Lehrate huye naiza haye shimr ka woh badhna..
Aa aake mere pichhe har bibi ka woh chhupna ..
Sholo me ghire ghar ko lut ti huyi chadar ko..

4.Jis raat me tanha thi uss raat ke dhalne ko..
Tute huye naize ko uss raat ke pehre ko..
Bachho ke sisakne ko aur khak ke bistar ko ...

5.Yaad aata hai ek maa ka woh khaak me dhans jaana..
Aur aag ke sholo me woh maa ka jhulas jaana..
Jalte huye jhule se lipti huyi madar ko..

6.Fizza ko mera bhai maa kehke bulata tha..
Dum uska mere bhai ke naam pe jata tha..
Rutbe me jo maa banker aayi usi madar ko..

7.Ek chand tha badli me chhupta tha nikalta tha..
Parda dar e khaima ka uth ta kabhi girta tha..
Woh khaima e laila se haye rukhsat e akbar ko..

8.Hai aaj bhi woh girya hai aaj bhi woh zaari..
Hai aaj bhi pathhar ke sine se lahu jaari..
Rote huye pathhar ko pathhar pe rakhe sar ko..

9.Yaad aata hai dulhan ko ghash kis tarha aaye the..
Ek gathdhi shahe wala jab kaandho pe kaaye the..
Uss laash ki gathdhi ko uss khu bhari chadar ko..

10.Aati hai naved ab bhi awaz yeh zainab ki..
Hai mujhko qasam sadiyo se sukhe huye lab ki..
Pyase ali asgar ko sukhe huye sagar ko..