Al ajal ya mehdi

- Mukhtar Hussain (2014)


al ajal ya mehdi    2

aayenge jab bhi barweh sarkar dekhna   2
phirse hasegi kaabe ki deewar dekhna
aayenge jab b barweh sarkar dekhna
 
jaise bichhad k milte hai do dost iss tarha   2
hoga alam k saath alamdar dekhna
aayenge..............
 
dedo imame waqt ka gar wasta ise    2
rukjayegi ye waqt ki raftar dekhna
aayenge..............
 
bedi ka hathkadi ka mukhalib jo aaj hai   2
kal hoga mushkilo me giraftar dekhna
aayenge................
 
quraa pe mujhko kaariye quraa kahega khud   2 
jab hoga ibne zahra ka didar dekhna 
aayenge..................
 
qaidi amiri shaam hai bazare shaam hai   2
manzar ye hone wala hai tayyar dekhna
aayenge...................
 
jo bhi zuba chali hai khilafe abu turab   2
kaatega isko meesame tamaar dekhna
aayenge.................
 
has haske muftiyo se takkallum ye kehta hai  2
maula sunenge khud mere ashaar dekhna
aayenge..............
al ajal ya mehdi..................