Meri sakina ko neend aa rahi hai

- Syed Raza Abbas Zaidi (2010)


meri sakina ko neend arahi hai.
baanu ye aabid ko batla rahi hai meri sakina ko neend aa rahi hai
kehdo hawaon se ahista aaye
kehdo parindo se ghul na machae
kehdo andhero se wapas na jaye...x2
Jaagi huwi chain kuch paa rahi hai meri sakina ko.......

Shayad rasan ki aziyat huwi kam
madham karo bibiyo shore matam
sajjad zanjeer bole na is dam..x2
shayad ghamo ki ghadi jaa rahi hai meri sakina ko neend....

Shaame gharibaa ki jaagi huwi hai
tamachon ke dar se nahi so saki hai
zara phir gale se rasan jo khuli hai.x2
suku se jo ab saans le pa rahi hai meri sakina ko neend....

zindaan ka dar zorse ab na khole
Ay pehredaaro ab ahista bolo
tum bhi to jaage ho kuch der solo...x2
baba ki khushbu ise aa rahi hai meri sakina ko neend.....

ke ab dharkane bhi phir is pe giraa hai
na bhaayi hai nazdik na is ki maa hai
kaano se khun
ho ke ab bhi rawaan hai...x2
magar aankh bojal ye samja rahi hai meri sakina ko neend...

main khush hun ke soyegi meri dulaari
main qurbaan is ke main ab is ke waari
bohat seh chuki dukh ye ghaazi ki pyaari.x2
magar nabz kuch aur batla rahi hai meri sakina ko neend..

magar ye huwa kya ke zindaan roya
badan rooh ke saath bachi ka soya
na jaagi wo aabid ne shaana hilaaya..x2
maa aaj kehte bhi sharma rahi hai meri sakina ko neend...

kahan tak likhunga main rehan noha
kabhi shaam jaawun to dekhun wo roza
jahaan qaidi bachi ka marqad hai tanha.x2
jahaan maa abhi bhi kahe jaa rahi hai meri sakina ko neend aa rahi hai........