Mushkil kusha ke beto par

- Asgar Khan (2010)


mushkil kusha ke beto'n par mushkil ki ghadi hai
maiyat ki raah roke zainab jo khadi hai
.
haider ka ek beta dehleez par khada hai
hatho'n me tegh le kar hasrat se dekhta hai
tewar bata rahe hain abbas yahi hai

hu aap ki main beti beta nahi hu baba
kufe ka mujhko aakhir baazaar kyu dikhaya
baba se ro ke zainab ye puch rahi hai

rukhsat hai baap ki ya aaghaaz hai safar ka
beti ne zindagi me seekha hai aaj chalna
maiyat ke saath ghar se dar tak jo chali hai

roti hain band aankhain larzaa'n hai laashe haider
shayad ke rote rote zainab ke sar ki chadar
sote howe padar ke chehre pe lagi hai

saqlain le ke jana seene pe daghe matam
buss nauha kehte rehna mola ali ka ta dam
iss dar ka hai jo noukar qismat ka dhani hai