Nahi ab koi bhi yaaro yawar

- Busheri (2014)


Shaheed ho gae ansaar wa ashaab sabhi
Husain tanha khade hai sitam ke narge me
Zabaan chup hai nazar dhoondti hai charon taraf
Kiya jo yaad shahidon ko to kaha dil ne

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Na guzre aise musibat na ho kisi ka naseeb
katai tune bhi gardan wo zaefee me Habib
Sabab-e-dosti bachpan se isliye kya raha
mai teri maut ka banjau main shamadeed gawah
Tu nahi samja ke is dost ne kya tujh ko diya
Tune has has ke magar jaam Shahadat ka piya
Na kar saka main Karbala me teri Mehmaani
Na mil saka hai tujhe teen din talak paani
Rahi ab yaad e Guzishta baaki
Jab talak Rooho Qalb ka ye raabta baaki

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Aye mere quwate baazu mere Abbas e Jawaan
Jo tere dum se thi himmat wo gai jaane kahan
Tune chahaa tha Yazidi ko ulat kar rakh doon
apni takat se Ta'arikh badal kar rakh doon
Tere jalaal ko roki thi wo talwaar hoon main
Jo Tere baazoo kate us ka zimmedar hoon main
Tu chala mashke Sakina liye sue darya
Maine jaana ke sahara mera ab toot gaya
Hai khabar tujhko ae mere bhai
Tere gham se ye zaefee me qamar toot gai

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Mere bete mere Akbar tujhe sina jo lagi
Tujhe maloom hai kya baap ke dil par guzri
Tu samajhta tha ke gum khwaar nahi tere liye
Maine roya hai magar dil ka lahoo tere liye
Tere Lashe pe main poncha hu ye kis tarh kahoon
Tujhe hichki jo lagi, sina ugal tha tha lahu
Tere laashe ko ghaseete hue le aaya hoon
Bad'az qatl aziyat tuje pohchaya hu
Ae Jawaan nazneen Ahmed Ki Shabeeh
Tune baba ke liye Jaan nichawar kardi

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Ae mere Qasim e Naushad Shabeeh e Shabbar
Tere Israar pe khamoosh raha main kyon kar
Maine sub'ha se kai laash to dekhi hain magar
Tere lashe pe jo daudae wo ghode lashkar
Fir teri lash ke tukdon ko jama maine kiya
Karu kis dil se wo pur dard manazir ka bayan
Meri khaatir ye hua haal tera
Hai tere maut ke gum se ye dil figaar mera

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Mere bete mere Asgar ae mere Tashnalab
Tune dekhi hai kahan gum me tere maa ki tadap
Main tujhe laaya tha maidan me paani ke liye
Teer hurmal ka tha kaafi ye kahani ke liye
Na raha tu abhi pyaasa na teri pyaas rahi
Meree haathon bus khaamosh teri laash rahi
Waqt e Aakhir tujhe paani ka ek katra na mila
Yahi afsoos mere bache mere dil me raha
Na mayassar tha tujhe gusl o kafan
Jaaegi saath mere bus yahi ek dil ki chubhan

Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar
Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar

Hain imtehaan magar main bhi to dil rakhta hoon
Haaye ek bhai ka ek baap ka dil rakhta hoon
Maine Akbar ke kaleje me sina dekhi hai
Gale pe teer aur Asger ki Zubaan dekhi hai
kiya hai sabr magar ek baar roya hoon
Sawaar hoke jo neeche zameen par dekha hoon
Lipat ke Ghode se baithi thi jo Sakina wahan
Laraz raha tha Jism, ashk the ankhon se rawan
Main jaanta ho ke kis tarh dil sambhala hoon
Utar ke Ghode se Bachi ko jo Uthaya hoon
Ye sin hai kya Meri bachi ke gum uthane ka
Ya qaid hone ka aur Taziyane khaane ka
Chacha ka gum hai iske dil me Gum hai bhai ka
Kahan se zabt ho gum baap ki judai ka
Siwa na baap ke soi ho jo kabhi bachi
Andheri raat me roegi raat bhar bachi
Jahaan chod kar main Jaonga .. Jahaan chod kar main Jaonga
Na reh sake gi Sakina use bula loonga.