Abbas sa beta dede
- Meesum Abbas (2008)
aise farzand ke khatir hai tamanna-e-ali
Jo bahadur ho, mujahid ho, wafadaar bhi ho
Ya rab mere ya rab ya rab mere ya rab
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
1. Ek jari chahiye tarikh-e-shuja-at ke liye
Karbala me mere shabbir ki nusrat ke liye
Aur namoos-e-payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
6. Sabko sairab karo aisi sakhawat dekar
Umar bhar ke liye bhai ki ita-at-dekar
Uske haathon me mera zor-e-shuja-at dekar
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
7. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho
8. Aye kaleem ho gaye maqbool dua-e-haider
Murtaza usko kaha fatema zehra ne pisar
Aarzoo ki thi ali ne jo huzoor-e-dawar
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho