Phir Chand Moharram ka nikla

- Sayed Shabrez (2015)


Phir chand moharram ka nikla, phir ghum ki kahani yaad aayi.
Shabbir ka kunba yaad aaya aur tashna dahani yaad aayi.

Logo ne kiya hai zebe tan phir kaale lebason ko kyun kar,
kya pyase shahidon ki phirse pursoz kahani yaad aayi.

Aaho boka ki awazein har simt fezaon mein hain ghuli,
lo farsh bichha phir majlis ka zehra ki saani yaad aayi.

Maqtal mein tadapte hain akbar zakhmi hai kaleja barchhi se,
Sarwar ki zaeefi yaad aayi akbar ki jawani yaad aayi.

Ek baap nikaale tuti ani bete ke kaleje se kaise,
phir khaabe khalili yaad aaya karbal ki kahani yaad aayi.

Nazron mein samaa'n phir phirne laga san eksatth(61) ke aashure ka,
rumale zehra yaad aaya ek zakhmi peshani yaad aayi.

Nazrein hain rukee'n ja parcham par aur fikr sidhari karbobala,
woh daste burida yaad aaye maujon ki rawani yaad aayi.

Shabbir ki nusrat ki shamma kuchh aur munawar ho ke rahi,
jab nasire sarwar yaad aaye aur unki kahani yaad aayi.

Dekhi jo sabilein paani ki aankhon se hue phir ashk rawaa'n,
chhe maah ka bachcha yaad aaya ek god virani yaad aayi.

Hoton pa phira ke sookhi zabaa'n dushman ko rulaya hai jisne,
us warise nehje balagha ki belafz bayani yaad aayi.

Jo raahe khuda me marte hain baqaule khuda woh zinda hain,
phir zikr suna jo sarwar ka ayat yeh qurani yaad aayi.

Paigham hawaein deti hain Gul Kazmi shah ki ghurbat ka,
mausam hai aza ka aa pahoncha phir ashk feshani yaad aayi.