Mujhe neend he ayi baba

- Sayed Shabrez (2015)


Aap aye na mujhe neend he ayi baba
kaisi qismat teri bacchi ne hai paai baba

kisi ne shaam k bazar me taras kha kar
jab diya paani duwa hum se karai baba

phupi k bazu se is tarha gala bandha gaya
k chal k panjo pe mai shaam me aai baba

jab lagi bhook tou zalim k tamache khae
aur ashko se hai pyas apni bujhai baba

na mila mujhko jo sone k liye seena tera
khak he odhi hai aur khak bichai baba

mai jab se bichdi hu tujhse na neend aai mujhe
lo dekho maut ne ab lori sunai baba

tu hai karbal me tou mai sham k zindan me hu
ho gai tujhko se yu milo ki judai baba

ek muddat hui viran mera rauza hai
kisi ne aa ke na ek shamma jalai baba

Mere halat pe likkhi hai raza ne jo wohi
ro ro shabrez ne rudad sunai baba