Sughra ko kya khabar

- Sayed Shabrez (2015)


Karbobala me Kya hua sughra ko kya khabar
Ek din me pura ghar loota sughra ko kya khabar..

1) Akbar ki raah takti thi hardum wo dilfigar,
Afsos karti hi rahi bhai ka intezar,
Woh bhai kyu na aa saka sughra ko kya khabar

2) Umeed ke sahare woh dar par khadi rahi,
Jis bhai ka wo rasta sada dekhti rahi,
Woh bhai ab nahi raha sughra ko kya khabar

3) Akbar zarur aata magar aa nahi saka,
Maktal se zinda laut ke ghar ja nahi saka,
Seena sena se chid gaya sughra ko kya khabar

4) Sibte nabi ka laal tha humshakle mustafa,
Ummat ne mustafa ki sitam us pe yeh kiya,
Naize se zakhmi kar diya
Sugra.....

5) Farzand ki hussain ne jis dum suni sada,
Ankhon me ranjo ghum ka andhera sa cha gaya,
Dil baap ka tadap gaya
Sugra.....

6) Zakhme jigar ke dard se bechain tha pisar,
Akbar ko khun me dooba hua sheh ne dekh kar,
Kis tarha sabr hai kya
Sughra...

7) Zakme jigar liye hue beta guzar gaya,
Tha laash ab uthane ka dar pesh marhala,
Ranjida baap kitna tha
Sugra...

8) Har simt ashkiyan the madadgar kaun tha,
Tanha zaeef baap se laasha jawaan ka,
Maktal me kis tarha utha
Sughra...

9) Qaiser nabi ki aal ka khun is tarha baha,
Mard o me sirf Abid e muztar ke ma siwa,
Koi bhi ab nahi raha
Sughra...