Abide beemar hai

- Sayed Shabrez (2015)


Abide bimaar hai sham ka bazar hai or Ali ki betiya'n

Mahjmae aghyar me be rida shehzadiya'n sakht hain ye imtiha'n,

Kar chuka ailaan zalim shehr k logon suno,
Baghion ka haal akar aaj tum bhi dekh lo,
Khoon k Anson rulae ye moazin ki azaa'n

shor zalim ka utha darbar ko sajne to do
dasht me aale nabi ko bas uhi roke raho
dekhta hu aae khuda mai eid k jaisa sama

dekh kar kehta hai humko waqt ka zalim sharir
shukr karta hu ke khaliq ne kiya tumko haqir
sabr ki quwat ata kar malike arzo sama

khak par baithi hai ibne mutaza ki ladli
aae khuda tu jaanta hai do ghadi sona saki
kaan bhi zakhmi hai galo par tamacho ke nishaan

sar khule konain ki shehzadiya balwe me hai
khak chehre par sajae kufr ke narge me hai
ro rahi hai bediya aur keh rahi hai alamaan

noke naiza par mere baba ka sar rota raha
naam zainab ka ameere shaam jab leta raha
phat gae kyun na zameen kyun na gira ye aasmaan

pardae zainab bani fizza sare bazar me
haq ada yawar kiya yu majmae aagyaar me
har sitam abid ne dekhe aur suni hai siskiya