Haaye jab maara gaya
- Sayed Shabrez (2015)
Haye Jab Maara gaya Farzande Zehra karbala..
Hogaya hoga tera Dil para para karbala
1) Behraha tha jis ghadi shabbir-e-bekas ka lahu,
Khoon hota ja raha tha yeh zamana karbala...
2) Chal raha tha shimr ka khanjar Gulu-e-paak par,
Kar rahi thi Madar-e-shabbir Nauha karbala..
3) Haye zakhmi tha badan teero se tashna kaam ka,
Mehve sajda tha payambar ka nawasa karbala..
4) Aagayi khaime ke bahar zainab-e-khasta jigar,
Ilteja honto pa lekar pa barehna karbala..
5) Aaj bhi kaabe se aati hai sadaye Ya Hussain,
Aaj bhi kaabe pa hai matam ka saaya karbala..
6) Aag khaimo me lagi thi chin rahi thi chadare,
Loot raha tha Kul Afaqa Mustafa ka karbala..
7) Subhe Aashura the Ta shame gariba Aye Hilal,
Haye kitne Ranjo ghum the Aur Tanha karbala...