Ya Abuturab

- Safdar Abbas (2004)


(Ya ailia ya murtaza ya bul hassan mushkil kusha) x2

Istighasa ra bar labane man ya ali maula, ya ali maula

(Ya abu turab) x9

1. Terey dar pay aaey hain tery sawali, Terey dar say koi kab gaya hay khali,
Sun raha hay maula tu sada hamari, Terey samney hay iltija hamari
(Ya abu turab) x2
Aey merey maula ho merey dil ki dua mustajab

2. Qarz momino ka gaib say ada kar, Muflison ko maula rizq tu ata kar,
Ya abul hassan kar door har bala ko, Tu usey aman day jo bhi be aman ho
(Ya abu turab) x2
Nazr-e-karam say ho teri sara jahan faiziab

3. Tujh say lo lagaaen hain bohat dukhi hain, Qaid be khata jo terey matami hain,
Tu unhain rihai ki khabar sunaday, Mazhar ul ajaaib maujza dikha dey
(Ya abu turab) x2
Do jahan main terey maujzey hain maula be hisab

4. Maula woh kaneezain ban gaen sawali, Dil hain jin ke muztar godian hain khali,
Aey sakhi karam tu bibion pay kar day, Baitey baition say khali god bhar day
(Ya abu turab) x2
Tu nay har sawal say pehley hi dia hay jawab

5. Meri maaon behno iltija hay meri, Tum rakho hamesha apni parda dari,
Ghaur say suno tum ye sadaaey zainab, Hay tumharey haq main ye duaaey zainab
(Ya abu turab) x2
Majlison main bibiaan aaen na kabhi be hijab

6. Har dua say pehley ye dua karen ham, Ruk na paaey majlis ruk na paaey matam,
Ye sadaaey matam hashr tak na kam ho, Ho gham-e-shah-e-deen or na koi gham ho
(Ya abu turab) x2
Aaey ga gham-e-hussain say jahan main inqilab

7. Wasta hay tujh ko shah-e-karbala ka, Zainab-e-hazeen ka khun bhari rida ka,
Maut ho jo sar par zindagi barhaday, Ladawa mareezon ko tu hi shifa day
(Ya abu turab) x2
Teri raza ho to ho bimar sabhi sehatyab

8. Tujh say bheek leti hay har aek hasti, Door karday maula sab ki tangdasti,
Terey haat main hay rab ka har khazana, Mang kar to dekhey tujh say ye zamana
(Ya abu turab) x2
Mangney walon ko tu karta hay ata be hisab

9. Gham mana rahey hain ham shah-e-huda ka, Kar rahey hain matam shah-e-karbal ka,
Halq e shah-e-deen par chal raha tha khanjar, Dil laraz raha tha dasht-e-nainwa ka
(Ya abu turab) x2
Roi zameen roya falak surkh hua aftab

10. Ye dua labon par subh o sham aaey, Terey zaakiron main mera naam aaey,
Sar jhuka dia hay terey dar pay aakey, Safdar e hazeen ko sar buland kardey
(Ya abu turab) x2
Karley nauha khwan o shaairon main mera intikhab