Mohammad haye Mohammad
- Miscellaneous (2014)
Mohammad Haaye Mohammad Suno Fariyaad Mohammad...2
1. Khat Likh Ke Kufiyone Bulaya Hussain Ko
Pani Na Diya Sabne Sataya Hussain Ko
Makhtal Me Tanha Ghera Hai Zehra Ke Chain Ko
Koi Nahi Tha Sunta Jo Zainab Ke Bain Ko
Ek Nawjawan Ke Sine Me Barchi Utar Gayi
Ro Kar Ye Bibiyo Ne Kaha Laila Mar Gayi
Mohammad Haaye Mohammad Suno Fariyaad Mohammad...2
2. Khaime Me Aaye Rote Huve Akbare Jawa
Kehne Lage Aaw Phuphi Amma Ab Yaha
Abbas Chacha Mar Gaye Andhare Hai Jahan
Kaise Dikhau Baba Ko Sukhi Huvi Zaba
Kis Tarha Meri Laaash Ko Baba Uthayege
Kaise Jawa(N) Bete Ki Mayyat Uthayege
Mohammad Haaye Mohammad Suno Fariyaad Mohammad...2
3. Abbas Ne Baccho Ke Liye Mashka Uthae
Shabbir Ne Ro Ro Ke Kaha Jaate Ho Bhai
Tanhae Meri Dekh Ke Roti Hai Tanhae
Tutegi Kamar Saath Me Royegi Khudae
Baad Aap Ke Khaime Me Saare Bacche Royege
Batlaye Mujko Ehle Haram Kaise Soyege
Mohammad Haaye Mohammad Suno Fariyaad Mohammad...2
4. Rukhsat Huve Shabbir To Zainab Se Ye Kaha
Hum Jaa Rahe Hai Marne Ko Haafiz Hai Ab Khuda
Behna Namaze Shab Me Hum Ko Yaad Kijyega(Karna)
Daman Se Lipti Bacchi Bhi Deti Thi Ye Sada
Makhtal Me Jaake Baba Naa Tum Wapas Aaoge
Beshir Ko Sine Pe Apne Tum Sulaoge
Mohammad Haaye Mohammad Suno Fariyaad Mohammad...2
5. Zahera Ki Tammana Hai Ye Shabbir Ka Matam
Mukhtaar Se Sikha Hai Ye Zanjeer Ka Matam
Yaad-E-Ali Me Karte Hai Shamsheer Ka Matam
Ye Nawnihaal Karte Hai Beshir Ka Matam
Ho Khaas Mere Waaste(Liye) Zahera Ki Ye Dua
Nasle Raza Me Kaayam Rahe Noha Ye Sada