Chahat Namaaz ki

- Ali Raza Surani (2015)


Hussain(as) x8
(Namaaz ki)x4
(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(1) Woh log rokhte hai aza e Hussein(as) se x2
Jinko kabhi mili nahi daulat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(2) Sajde mei jab se sar hai kataya Hussein(as) ne x2
Ashk e aza e Shah(as) hai sunnat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(3) Sine mei daagh e maatam e Sarwar(as) ke saath saath x2
Ahle aza ke dil mei hai ulfat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(4) Muslim(as) ke bete sahil e darya pe peshe qatl x2
Qatil se lee rahe hai ijazat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(5) Mehrab e Kufa mei hai Ali(as) zakhmi sar ke saath x2
Aur phir bhi bar karar hai haalat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x2

(6) Dil mei Raza main Sayyade Sajjad(as) ke tufail x2
Mehsoos kar raha huu hararat namaaz ki x2

(Jis ke bhi dil mei aaj hai chahat namaaz ki
Rakhta hai marte waqt bhi quwwat namaaz ki) x4