Fizza teri wafa ki

- Ali Raza Surani (2015)


Amma Fizza(sa) x4
Amma Fizza(sa) Mulq e Habash di Malqa
Amma Fizza(sa) teri wafa x2

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2
Zainab(sa) ke saath tu bhi bazaar mei khadi hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

(1)Tune toh syedo ka aabad ghar bhi dekha
Aur kis tarha huwa woh barbaad ghar bhi dekha
kisne kise sataya tu khoob jaanti hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

(2)Jab Hassan(as) ka janaza wapis hai ghar mei aaya
Farwa(sa) ke saath rokar,Qasim(as) gale lagaya
Laashe Hassan(as) se tu bhi rahi teer kechti hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

(3)Bandhi huwi rasan mei Zainab(sa) jo shaam aayi
Teri kamar ke piche chupti thi Zehra(sa) jayi
Har mod pe dilase Zainab(sa) ko dee rahi hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

(4)Jab roti thi Sakina(sa),har baar chup karaya
Aur ghash se paak Abid(as) ko tune bhi jagaya
Zainab(sa) ke saath jhirke,Fizza bhi kha rahi hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

(5)Aale Nabi(saw) pe gham ki bunyad hai saqifa
Din raat ab Hassan toh apna yehi wazifa
Jisne inhe rulaya woh shaks lanati hai

Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x2

Zainab(sa) ke saath tu bhi baazar mei khadi hai
Fizza(sa) teri wafa ki hadd aakhri yehi hai x4

Amma Fizza x10
Amma Fizza Mulq e Habash di Malka
Amma Fizza teri wafa x2