Saari shamme buja leke suraj nikal
- Fatema Ladak (2015)
al ajal al ajal ya imam al ajal – 2
ya imam al ajal
aa bhi jaa pardaye ghaybat se zamane ke imam
tere muh se hi tere jad ki kahani sunle
hum azadaro ki bas aakhri khwaaish hai yahi
nauha shabbir ka ek teri zabani sunle
saari shamm e bujaa le ke suraj nikal al ajal ajal ya imam al ajal
har musalle pe hai yeh dua aaj kal al ajal ajal ya imam al ajal
raah e takhte hai teri yeh ehle azaa
raat deen hai labbo par yahi ek dua
charsou khauf hai aur gum ki ghatta
kaise jaari rekhe zikhr e shahh e hudda
rukh ne jaye kahi maula kharul amal
al ajal al ajal ya imam al ajal
zindagi kya hai ek raah pur qwar hai
har taraf mowt aur gum ka bazaar hai
har galli mei tho laasho ka ambaar hai
matami par masaib ki yal gaar hai
aake maula nizaam e jahan ko badal
al ajal al ajal ya imam al ajal
majlis e gum mei jaana hai ek marhala
jaane kab apne qatil se ho saamna
karte rehte hai zikr e gumme karbala
go ke har sanzz lag ne lagi hai sazaa
karde maula zarra dast e batil ko shal
al ajal al ajal ya imam al ajal
har sitam dilpe seh ke keha ya hussain
jab bhi koi janaza outha ya hussain
yaad aayi humme karbala ya hussain
tere darbaar mei hai dua ya hussain
suon le beta tera ye sadda e atal
al ajal al ajal ya imam al ajal
dard aur gumke alaam mei kaise jiye
apne pyaro ke matam mei kaise jiye
khoon aalooda mausum mei kaise jiye
gum yahi hai ke iss gum mei kaise jiye
iss jahan ki fizza oss jahan se badal
tere joke masiab mei gum kwar hai
pursa daarane zehra dilaff gaar hay
teri nusrat ke hum sab talab gaar hay
maula mehweh dua saare zawwar hay
ik alam leke aa karbala saath chal
al ajal al ajal ya imam al ajal
bekafan laasheh shahe zaman ki kasam
hay sakina garibul watan ki kasam
ek bhai ki aur ik behen ki kasam
yaani zainab aseereh rasan ki kasam
muktasar tere aaneh pe hai har amal
al ajal al ajal ya imam al ajal
farshe gum par hai mehwe dua fatima
dekhe ehle azaa ashq e gum ka silaa
tegh e haider sambhaleh jo tu aayega
hoga mazhar sipaahi teri fauj ka
kat raha hai qayamat ka ik ik pal
al ajal al ajal ya imam al ajal
noke nezaa se chini gayi jo ridda
deh rahe hai ussika tuje waasta
bandh raaho ko khulwadeh aake zarra
shaam jaye dubaara yeh ehle azaa
iss se pehle ke aayeh payaam e ajal