Haye Asgare masoom se

- Miscellaneous (2014)


Maqtal pe jo kahi bar zameen par shahe wala
Samjhe ye malaek ke qayamat hui barpa
Khayme ko badi aas se mazlum ne dekha
Itne me kisi samt se ek teer jo aya
Kamal safe lashkare gam ho gaya maula
Dil me utha woh dird ke
Khum ho gaye maula...x3
Haye Asgar masum se..x4
Nanhi si gardan masum se lab
Asgar ka pyasa gala..x2
Aankhon se aapni cheh maah ka Asgar amma se kehta raha
Roya nahi hu main teer khakar Asgar ne maa se kaha..x2
Nanhi si.....Asgar...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Jo maa ko maa bhi na bol paya uspar hue hain zulm
Nanhi si jaan par sehta raha hain Asgar ye zulmo sitam
Bejurm Asgar haye Karbala me
Mara gaya bekhata....x2
Nanhi ....Asgar ...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Haye Sakina Asgar ko lekar baithi thi sehmi hui
Na leke jana maasum Asgar baba se kehti rahi
Marjaugi main ro ro ke baba
Asgar se hokar juda...x2
Nanhi..Asgar ...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Himmat kisime hain to yeh andaaz rok le
Anjam ki khabar dame aagaz rokle
Dam hain to Jibraeel ki parbaaz rok le
Lashkar ka dom lekar agar ayega yazeed
Asgar ke lab hilege to mar jayega yazeed...x2
Haye Asgar maasum se....x2

Hurmal ke hathon me kapti thi pakdi huwi woh kama
Girta raha tha woh teer bhari zaalim ke hathon waha
Darta nahi hoon ibne Ali ka
Kehta tha yeh ladla...x2
Nanhi ...Asgar ...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Asgar ka jhula baithi Sakina khali jhulati rahi
Paani pilakar layega baba bacchon se kehti rahi
Nanhe se haathon se mangti thi
Ro ro Sakina dua ...x2
Nanhi...Asgar...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Kuch sochkar pisar ko uthaya Hussain ne
Mojoom kar gale se lagaya Hussain ne
Bacche ko raze fatah bataya Hussain ne
Asgar ko shehsawar banaya Hussain ne
Yeh fikr sab kahe yeh qayamat ka dhang hain
Asgar ki yeh wiga nahi Akbar ki Jung hain...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Maasum Asgar mara gaya jab sari fizaa ro padi
Khoone Ali Asgar jab gira toh Karbobala ro padi
Nanhi qabar me ha sheh ne lasha Asgar ka dafna diya...x2
Nanhi ..Asgar ...x2
Haye Asgar maasum se...x2

Fauje yazeedi ke haye zaalim shah se yeh kehte rahe
Naizon se lasha maasum ka sab dekho lage dhoondhne
Asgar ke tan se haye zaalimon ne
Sar ko juda kar diya..x2
Nanhi...Asgar ..x2
Haye Asgar maasum se....x2

Aankhon se apni cheh maah ka Asgar amma se kehta raha
Roya nahi hoon main tere khakar Asgar ne maa se kaha...x2
Nanhi si gardan maasum se lab
Asgar ka pyaasa gala..x2
Haye Asgar maasum se....x2