Qaidiye zindaan sakina hai
- Fatema Ladak (2015)
Sakina Sakina Sakina Sakina – 2
Shaam ke zindaan me sakina ka tha nauha
Baba mere baba
kaidiye zindaan sakina hai,-2 gum mei parishaan sakina hai - 2
daag yatimi ka milla baba, aag se damaan bhi jala baba
yeh hai yatimi ki sazaa baba, dard ka quran sakina hai
gum mei…….
aake kabi mujse milo baba meri kahani tho sunno baba
kuch hi dino ki to chalo baba Lahd mei mehmaan sakina hai
gum mei………
aaj mere gum ki dawaa kya hai giryaa o matam ke siwa kya hai
dekho tho anjaam e bukaa kya hai zulm se bejaan sakina hai
gum mei…..
khaak pe soti hu tadapti hu apke sine ko taras ti hu
shimr ke saye se bhi darti hu maut ka armaan sakina hai
gum …….
wadaa nibhane ke liye aao mujko sulaane ke liye aao
gum se chudane ke liye aao aap pe qurbaan sakina hai
gum……….
abto yeh zindaan mera ghar hai khaak pe sonaa hi muqaddar hai
gum se yehi baat labo par hai maut hi asaan sakina hai
gum….
kaisi hai baba meri tanhayi ap hai ammu na koi bhai
royi to dardo ki sazaa paayi zabt ka unwaan sakina hai
gum
fatemah iss dil pe chale khanjar shaam ke zindaan jo gaya mazhar
bas ye sadaa maine suni ro kar bar sare zindaan sakina hai
gum…..