Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi
- Miscellaneous (2014)
Rehayee qaid say Zainab(sa) ko jab mille ho gi
bina Hussain(as) kay woh kaisay ghar gaye hoo gaye
Aye Nana Tayray nawasay ko tayri ummat nay
Daffan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya
Hussain(as) Ya Hussain(as),Hussain(as) Badshah
Hussain(as) shahenshah, Hussain(as) deen hai
Hussain(as) dein pannah, Shaheed-e-karbala
zabihay nainwa, Bay zuram-o-bay khata
Hay tayra ghar luta
Hussain(as) Ya Hussain(as) Ya Hussain(as) Ya Hussain(as)!
Batoolzadi(sa) yehi baat sochti hoo gi
Lutien thi dasht mein jo chaderien Saydaniyoon(SA) ki
lutayein Abid-e-Beemar(as) ko layeenoon nay
Sajjad(as) haaye Sajjad(AS)
Beemar-e-karbala, Aseer-e-baykhata
tumhara qafla, to tha luta howa
pahan kay bayriyaan, jidhar bhi tu gaya
woh raasta bhi tha laho laho howa
na jaanay kis tarhaan, yeh tu nay seh liya
Yeh Zainab(sa)-e-hazeen, ka ser khola howa
phir is kay baad tu, hai jab tallaq jiya
tumhari aankh say, sadda hai khoon baha
Sajjad(as) haaye Sajjad(AS) haaye Sajjad(AS) haaye Sajjad(AS)!
Ali(as) ki Laadli hasrat say daykhti ho gi
Woh chay(6) ma'ah kay bachay ko teer ma'ara tha
Woh Sheer khawar ka laasha seenay pay laaya tha
Sagheer(as) Haaye Sagheer(as), Sagheer(as)-e-Karbala
Aye Kushta-e-jaffa, kisi ki dushmani
Hai tum say kiya bhala, tumhara sin abhi
nahin hai jang ka, qaza ka teer hai
badast-e-hurmala(la), tumhara phool say
bhi hai narm galla, Rubab(sa) kis tarhaan
karay gi hosla, Khuda(swt) ra hosla
na maa' ka aaz'ma
Hussain(as) per yehi, waqt hai karra
laho Sagheer(as) ka moh per mal liya
Sagheer(as) Haaye Sagheer(as) Haaye Sagheer(as) Haaye Sagheer(as)!
Batool(sa) lahad mein moh apna peet'ti ho gi
Parray thay Laashay jawaanoon kay dasht-e-karbal mein
parra tha Ghazi(As) ka Laasha bagheer shanoon kay
Abbas(as) Haaye Abbas(as)
Abbas(as) bawafa, Abbas(as) basafa
hay tu pala howa Ali(as) ki goud ka
Abbas(as) Moajazza hai tu Batool(sa) ka
Abbas(as) ek naya, hai pesh marhala
Hai Zainab(sa) bayrida, safar hai Sham ka
thay Shami bayhiya, Wa Museebatta!
Abbas(as) Haaye Abbas(as) Haaye Abbas(as) Haaye Abbas(as)!
Jawan bhai kay shanoon ko dhondti ho gi
Gaya tha qafla maqtal mein Ale-Ahmed(As) ka
Dhoonda hai dasht mein har Bibi(sA) nay apnay pyaroon ko
Jawan haaye jawaan, Shabih-e-Mustafa(saw)
Wazir-e-Murtaza(as) athara(18) saal tek
tu burqay mein palla, phophi nay naaaz say
tujhay jawaan kiya, Khuda(swt) kay waastay
Abhi na ran mein ja, Hussain(As) kis tarhaan
Yeh daykh paayay ga, jawaan ka jigar(sadqay Mola)
Sina ka totna, Bahan thi muntazir
Woh ab bhi daykhti, hai tayra rasta
Jawan haaye jawaan haaye jawaan haaye jawaan!
Karakti Dhoop mein ro ro kay dhondti ho gi
Gaye thi sham tumharay Sakina(sa) Karbal mein kahan hai
Bhayyia mujhay nazar nahin aati
Hussain(as) Ya Hussain(as), Hussain(as) Badshah
Hussain(as) Shahenshah, Hussain(as) Baywatan
Hussain(as) Baykafan, jo sar ser-e-sina'ah
to reet peh badan, luta hai dast mein
Batool(sa) ka chaman
Beemar Sughra yeh Abid(As) say poochti ho gi
Sunni jo bali Sakina(SA) nay khabar yeh Akhtar
keh sab chalay hain mujhay chor ker Madinay ko
Masooma(SA) kabr mein tanha hi ro rahi ho gi!!